Monday, August 11

To kuchh baat karoo . . .


Is Aab-o-rang me khamosh khada hoon, koi humzubaan mile to kuch baat karoo
shor-o-ghul main ab dil lagta nahi, ye khamosh ho, to kuch baat karoo

mere koocha ke goonjte sannate ne, sikha diya hia kuch naya mujhe
ab be-zzabta main hoon ke khalqat, ye pata lage, to kuch baat karoo

ab kis kis se jaa kar poochoon, kyun saakin he khada hoon youn main
sab apnee raftaar main magan hain, koi aa kar ruke, to kuch baat karoo,

niklaa jo talash-e-khuda par main, to harr ik bashr khuda bana paya
sab abr-o-fiza main ud rahe hain,koi zameen par aye, to kuch baat karoo

kyun dekh raha hoon hairat zada, man main aarzu-e-inqilaab liye
ye jo khamoshi me cheekh raha hoon 'Briham' , koi sun sake, to kuch baat karoo

1 comment:

Anonymous said...

CHUTIYA!!!