Thursday, May 24

The LIFE

jeevan sapno ka ek ghat..
jisaki tali me peeda ka ek chhidra..
boond boond kar tapak jati hai
sabhi aashayein
sabhi kalpanayein
khali ghat hansta hai
aur kehta hai
main yahi hoon tumhare liye
bas yahee!!!

7 comments:

आलोक कुमार said...

jeevan hai sapno ki ek nauka
aur iske naawik ke paas hai
karm roopi ek patwaar
sapne toot gaye
aashaayen chhot gayi
par jisne patwaar ko
thaame rakha
uski nauka
kinaare tak paunch hi gayi..

nice blog...keep it up :))

Psychotic Philosopher said...

Gurudev aap God ho yaar....main hamesha pessimistic tareeke se sochta hoon ..aap Optimistic tareeke se:-)
Nice lines:-)

Saurabh Harsh said...

are yaar pane alok bhai ne to macha diya..isko kahte hain talent..waise meena tu bhi kam nahi hai..but poems mein alok bhai ke saamne koi kahan tik pata hai..

Unknown said...

philosopher u.........huh?

Unknown said...

jeevan ek chauraha,
jaane kis raah tumko jaana,
us paar rah bhi to koi takta hai.
ajeeb vipidha hai..
saamne aneko rahe hai..
par kaun jaane kis path tum ko jaana hai..........
ye kaisi widambana hai,
ye kaisa chalawa hai..
ae man kuch tu to bol..
jaane kis path mujhko jaana hai..
koi raah takta meri us paar......
bol us paar, path kaunsa jaata hai..

man kahta.......he raahi
jaane kyo tu bhatakta hai..
dil ko sun.......
rasta ye dikhlaata hai.....

is chaurahe ko paar karne ka bus yahi ek upaay hai........
khud pe bharosa rakh,aur
dil ko sun........
rasta khud mil jaata hai



so moral of the story.........LISTEN TO UR HEART......

Prachi Mishra said...

i am sad at hindi poetry....but man i do like ur stuff....check out mine sometime n post ur comments....

Psychotic Philosopher said...

@ Komal

Yaa yaa filosofer me :P..and am nt talkin abt jeevan ke raste n all but like the way u describe jeevan as some chauraha n heart thingn


@Prachi
Thanks prachi,this is how i started.I am a hindi medium student and started to write in hindi only..aniwaj thnks:-)